Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2013

unsulji paheli

Baitha tha ek din yuhi tanha akela ,naap raha tha aasma ki unchaiyo ko Dekh raha tha tanha aasman, usme jhoomte badalo ko aur badalo mein dupki lagate un parindo ko ek baat yuhi zehan mein ayi ki kyu yeh parinde humesha aasaman mein udte aur gungunate rehte hai kyu yeh badal humesha lehrate rehte hai kabi garajte toh kabi baraste hai aur kabi doop k aanchal mein chip se jaate hai. yeh suraj b toh nahi thakta kabi apni kirne bikherte bikherte yeh paani b to kabi nahi chodta behna. kyu chand ko aane mein kabi deri nahi hoti suraj b toh kabi dalne mein deri nahi karta roz roz ek hi cheez karte, kya yeh sab kabi thakte nahi insaani basha mein kahe toh Kya yeh kabi BORE nahi hote konsi prerna milti hai in sab ko ki apna kaam humesha itni shiddat se mazze lete hue karte hai ki yeh sab kabi thakte nahi , inhe toh itbaar ki chchuti ki b zaroorat nahi padti kabi apne kaam ko lekar kisi se ladte nahi. aur aisa kya antar hai inme aur insaano mein ki insaaan apne kaaam se hi th