Baitha tha ek din yuhi tanha akela ,naap raha tha aasma ki unchaiyo ko
Dekh raha tha tanha aasman, usme jhoomte badalo ko aur badalo mein dupki lagate un parindo ko
ek baat yuhi zehan mein ayi ki
kyu yeh parinde humesha aasaman mein udte aur gungunate rehte hai
kyu yeh badal humesha lehrate rehte hai
kabi garajte toh kabi baraste hai aur kabi doop k aanchal mein chip se jaate hai.
yeh suraj b toh nahi thakta kabi apni kirne bikherte bikherte
yeh paani b to kabi nahi chodta behna.
kyu chand ko aane mein kabi deri nahi hoti
suraj b toh kabi dalne mein deri nahi karta
roz roz ek hi cheez karte, kya yeh sab kabi thakte nahi
insaani basha mein kahe toh Kya yeh kabi BORE nahi hote
konsi prerna milti hai in sab ko
ki apna kaam humesha itni shiddat se mazze lete hue karte hai
ki yeh sab kabi thakte nahi ,
inhe toh itbaar ki chchuti ki b zaroorat nahi padti
kabi apne kaam ko lekar kisi se ladte nahi.
aur aisa kya antar hai inme aur insaano mein
ki insaaan apne kaaam se hi thak jaata.
woh kya kehte hai angrezi mein Bore ho jata
bache padne se bore ho jate
ek mazdoor be apne kaam ko kosta rehta
kehta ki main apne kaaam se khush nahi kyuki isme paisa nahi
toh dusri taraf badi badi companiyo mein naukri karne waale be apne kaam se khush nahi
kehta ki bahut kaaam karna padta apne liye samme hi nahi
sab apne kaam se bore ho jate hai.
arrey yeh sab toh choti baate hai
aaaj k yug mein toh bache apne maaata pita se bore ho jate hai.
har koi apni marzi se chalna chata hai..
kapdo ko chodke ab toh insaano aur janwaro mein b BRAND bnata hai
ek ladka apne dosto se bolta hai
ki nahi yaaar yeh ladki achi nahi
yeh toh inti sexy nahi, yeh moti hai ,yeh kuch zayada patli hai isme maal nahi
Ladkiya b is maamle mein kam nahi
jo bolti hai apne dosto se ki
nahi yaar is ladke mein woh dam nahi yeh apna kharcha nahi utha sakta toh meri kya uthayega..
pyar karne se pehle aaaj kal bank balance check kiya jata hai
aur dil k andar kya hai uski niyat kaisi hai uski soch kaisi hai iski kisi ko parwa nahi
insaan ko selection karne ki aaadat pad gayi
kapdo mein selection
insaano mein selection
dost banane mein selection
arrey yahan tak ki ek kutta paalne mein selection
kutte k b brand bna diye hai
Kya jab bagwaan ne insaano ko banaya hoga toh aisa hi sochke banaya hoga.
subah jis bagwaan ki pooja karke jata hai
shaam ko usi ki duniya mein rishwat leta hai khoon karta hai paap karta hai
Kya jab bagwaan ne insaan bnaya hoga toh use aisa hi bnaya hoga
ki woh apne aage aur kisi ko kuch samje hi nahi.
jab usne yeh universe bnaya hoga toh insaano ko kya itna upar bna diya
vriksh kaat-ta hai janwaro ko maart-ta hai aur apne aapko in sab se uttam btata hai
kya bagwaan b yehi manta hai?
usne toh hum sab ko bnaya hai
insaano ko b, janwaro ko b, aur in nanne podo ko b
toh kya uski nazaro mein b yeh theek hai
kya insaaan sach mein itna uttam hai ki use jo mann chahe karne hi aaaagya hai
kon dega in sawalo k jawab ?
yeh ek paheli hai
Written by KARAN GUPTA

I really appreciate your professional approach. These are pieces of very useful information that will be of great use for me in future.
ReplyDelete